Parizaad is a famous Pakistani Drama series starring Ahmed Ali Akbar, Yumna Zaidi, Ushna Shah, Nauman Ijaz, and many others. The story is about an innocent boy who has low self-esteem because of his dark skin. He always lacks confidence, and people use him for their purposes.
Parizaad has some brilliant oneliners, Shayari, and quotes about life; we are sharing some of the best Parizaad Dialogues and Quotes lists. Some of them are Motivational Quotes, and you will love them.
Although we live in India, you can watch this whole series on YouTube. it is available for free. We watched it, and we loved it.
Pakistani Drama Parizaad Dialogues, Shayari and Quotes
Yahan Garib ki shayari bhi dunia ko fizool lagti hai, Aur agar mard ameer ho, to uske muh se nikli hui gaali bhi shayari lagti hai.
Main Apni Nazmein ek Lafzon ke saudagar ke paas bech aaya..
Main inko dikhana chahti hoon, ki afsar sirf afsar hota hai, mard ya aurat nahi….
Mujhe marne ke baad meri laash ko Maskh kar dijiyega, is wajod ke sath maine bohot saha hai…
Shakal or surat insaan ka pehla taruf hai, insaan ka dusra aur asal taruf uske alfaz hain, apna dusra taruf mukammal karlo, itna mukammal ke log tumhara pehla taruf bhool jayein…
Mujhe meri Tanhai bohot pasand hai, tanhai ke ehsas ko khatam krne ki zarurat kya hai, insaan tanha aya hai is duniya mein, usne tanha wapas jana hai, ye darmiyaan ki masroofiat, ye sb ek dhakosala hai…
Tum paise banao, log tumse rishte khud banayenge…
Tumhara dil bhi ab mere dil ki tarah jhooth Bolne laga hai…
Insaan apne liye nahi apno ke liye darta hai
Sahilon se palatne mein itni der nahi karni chahiye, in sahilo mein bade toofan chupe hote hain…
Doosra Mauka dene ka Kayal nahi hoon main…
Theek kaha aapne, Duniya mein har cheez bikau hai, magar bhi mujh par mere fun bechne ki nobat nahi aayi, jab kabhi aisa hua, main apne kaghaz ke pulande le kar seedha apki dukaan par aaunga…
Hum masroof thodi hoti hain, masla to tarjeehat ka hai, hum apni pasandeeda tarjeeh ko masrofiat bana lete hain..
Meri Duaon ka kabhi asar nahi tha tum par, magar main dua karunga ke tum sada khush raho, log kehte hai na, mohabbat andhi hoti hai, kash hum jinse mohabbat karte , wo bhi andhe hote, wo kitna achha hota….
Suno ladke ye jo chehra, surat, shakshiyat hai na, ye sb lower middle class logo ke masayel hote hain, mard ki surat, uski shaqsiyat aur uska waqar, sab uske paise se hota hai, jao aur is behraam duniya me aur apne hisse ki daulat samet lo, khud ko itna ameer karo, ki ye jo tumhari shaksiyat ke eb hain, duniya ko style lagne lage….
Jo dushman ke sath dushman, aur dost ke sath dost na ban sake, usse jeene ka koi haq nahi…
Kuch shamein aisi dhalti hain ki sooraj ke sath sath humara dil bhi doob jata hai, dooba suraj to agli subah fir nikal aata hai, magar jo dil ek bar ghuroob ho jaye to fir kahin to’lou nahi hote…
Also Read: Best Pakistani Films of All Time
Your Turn!
These are our favorite dialogues from the Pakistani Drama Series Parizaad; you can share your favorite dialogues, Quotes, and Shayari from Parizaad in the comment section.