Once Upon a Time in Mumbaai AKA OUATIM is a Bollywood period drama film starring Ajay Devgn, Randeep Hooda and Emraan Hashmi in the lead roles.
It is loosely based on the life of infamous underworld don Haji Mastan and the early days of Dawood Ibrahim in Mumbai.
Once Upon a Time in Mumbai was directed by Milan Luthria and brilliant dialogues of the film were penned by Rajat Aroraa.
We are sharing the complete list of Once Upon a Time in Mumbaai Dialogues, these one-liners were used in the film and this film is full of such excellent dialogues.
List of Dialogues in Once Upon a Time in Mumbaai
Dialogues of Randeep Hooda (Agnel Wilson)
Jurm ke raaste kitne bhi makhmali kyun na hoon Sir…
khatam to jail ke kambal mein hi hote hain..
Mujhe Train ki parwah nhi,
Mujhe Patriya Saaf chahiye…
Gufa me andhera kitna bhi ho, kinare par roshni zarur hoti hai…
Sultan ne chahe kitne gande kaam kiye ho
par usne kabhi sheher ganda nahi kiya…
Garamjoshi achhi cheez hai, lekin hadd se badh jaye to khud ko jala deti hai…
Agar Kisi Cheez ki Latt pad jaye to wo latt aadmi ki pehchan ban jaati hai…
Gaadi chahe kitni bhi tez ho usko rokne ke liye ek keel hi kaafi hai…
Dialogues of Ajay Devgn (Sultan Mirza)
Dua mein yaah rakhna…
Main un cheezon ki smuggling karta hoon,
jinki ijaazat sarkar nahi deti
un cheezon ki nahi, jinki ijazat zameer nahi deta…..
Jab dost banake kaam ho sakta hai Patrick…
toh phir dushman kyun banaye?
Hamari tasveerein kheench ke apni dukaan mein laga lena
kabhi zaroorat pade, toh dono mein se ek bhagwan chun lena…
Jaise tu hua tha
upar waale ki dua se, thodi mehnat se
aur bahut sari lagan se….
Main har kaam paise ke liye nahin karta…
Himmat Baati nahin dikhai jaati hain……
Kashti leharoon se takrayegi
Tabhi to kinare naseeb honge….
Jinki manzilein ek hoti hai
woh raaston par hi toh milte hai….
Sooch lo, baat khatam karni hai, ya kahani shuru…..
Jo apni maa ki izzat nahin karte
main unka baap bankar aata hoon…..
Maine Apne Jeene ka tarika badla hai tevar nahi…..
Dialogues of Emraan Hashmi (Shoib Khan)
Sher se hal chalwaoge toh kisaan toh marega hi….
Mushkil toh yeh hai ki main abhi thik tarah se bigda bhi nahi
aur tumne sudharna shuru kar diya….
Zindagi ho toh smuggler jaisi
saari duniya raakh ki tarah niche aur khud dhue ke tarah upar….
Raste ki parwah karunga to
manzil bura maan jayegi….
Supari li hai
toh chuna nahi lagaunga….
Agar dhanda shanti se karna hai toh
dhamake toh karne hi padenge…..
Yeh umar sudharne ki nahi, bigadne ki hai…..
Joh bistar pe zubaan dete hai
woh aksar badal jate hai…..
Aadmi tabhi bada banta hai
jab bade log usse milne ka intezar kare…..
Also, Read
Once Upon a Time in Mumbaai Dobara Review
Dialogues of Once Upon a Time in Mumbaai Dobara
Your Turn!
These are all Hit Dialogues of OUATIM, now share which one is your favorite in the comment section.