On the occasion of the 78th Indian Independence Day, we are here to celebrate our country’s freedom with these brilliant Hindi dialogues and Patriotic Quotes for Independence Day Status.
We have created a list of 15 August Independence Day Patriotic Dialogues, quotes, and WhatsApp status for 2024 Independence Day, you can use these dialogs in your whatsapp status and stories for Independence Day.
Patriotic Dialogues and Quotes from Hindi Films
Aao jhuk kar salaam kare unhe jinke hisse mein yeh mukaam aata hai, kis kadar khush naseeb hai woh log khoon jinka watan ke kaam aata hai… Ab Tumhare Hawale Watan Sathiyon
Farz aur farzi mein bas ek maatra ka antar hota hai…. URI
Hamara Hindustan zindabad tha, zindabad hai, aur zindabad rahega…… Gadar EK Prem Katha
Chahe humein ek waqt ki roti na mile, badan pe kapde na ho, sarr pe chatt na ho…
Lekin jab desh ki aan ki baat aati hai
Tab hum jaan ki baazi laga dete hai……. INDIAN
Hum haath milana bhi jaante hai, haath ukhaadna bhi
Hum Gandhiji ko bhi poojte hai, Chandra Shekar Azad ko bhi
Main bhi pehle pyar se samjhata hoon, phir hathyar se….. INDIAN
Tum doodh mangoge hum kheer denge
Tum Kashmir mangoge hum cheer denge….
Ek Catholic aurat PradhanMantri ki kursi ek Sikh ke liye chhhod deti hai
Aur ek Sikh PradhanMantri pad ki shapath ek Muslim Rashtrapati se leta hai
Us desh ki bhaag daud sambhalne ke liye jisme 80 Pratishat log Hindu hai….. Namaste London
Tum log parivaar ke saath yahan chain se jiyo
Is liye hum log roz border par marte hai…. Holiday
Mujhe states ke naam na sunai dete hai na dikhai dete hai, Sirf ek mulk ka naam sunai deta hai India. Chak De India
Desh se wafadari, kisi ek shaksh se gaaddari se kahi zyada badhkar hoti hai….
Ab bhi jiska khoon na khaula, khoon nahin voh paani hai
Jo desh ke kaam na aaye woh bekaar jawani hai….. Rang De Basanti
Koi bhi desh perfect nahin hota, usse perfect banana padta hai…. Rang De Basanti
Tere vaaste ek lakh jawaniyan, par yeh jawani desh ke liye… HEROES
Hum sirf apne baare mein soochte hai, Lekin ek fauji poore desh ke baare mein sochta hai…. HEROES
Mard marta hai toh apni ankhen tirange ki taraf karke marta hai,aur yeh sochta hai ki phir se is desh ke liye kab peda houn… Jo Bole So Nihaal
Maut ke mandiyon mein ja jakar apne beto ki boliyan di hai
Desh ne jab bhi ek sar manga, humne bhar-bharke jholiyan di hai…
Bhagwa, safed, hara jeevan chakra mera, karm, satya, dharti maa inhi mein main pala, Bharatiya main jana, Bharatiya hi chala, Bharatiya main jeeyon, sada Bharatiya rahoon, bhagwa, safed, hara jeevan chakra mera.. HEROES
Humare yahan jawan marte nahin ha, ya toh vijayi lautte hai ya amar! HEROES
Religion wala jo column hota hai , usme hum Bold aur CAPITAL me INDIAN likhte hai. – BABY
Border pe marne se zyada bada nasha koi nahin hai SHAURYA
Shaurya sirf kisi ko mar girane ko nahi kehte, shaurya sirf salami dene ko nahi kehte, shaurya toh hamare bahut andhar hota hai, ek hausla, ek himmat…. SHAURYA
Yeh azaadi ki ladai hai, guzre hue kal se azadi ,aane wale kal ke liye…. Mangal Pandey
Hindustan ka sipahi jung ka maidan do hi suraton mein chhodta hai
ya toh jeet haasil karke, ya desh ke liye kurbaan hoke…
Yeh Indian Army hai, hum dushmani mein bhi ek sharafat rakhte hai… Lakshya
Ek sacche desh bhakt ko hum fauj se nikaal sakte hai, lekin uske dil se desh bhakti nahi…. Jai Ho
Main nahi manta hamara desh duniya ka sabse mahan desh hai, lekin yeh zaroor manta hoon, ki hum mein kabliyat hai, taqat hai, apne desh ko mahan banane ki… Swades
Desh par marne wala kabhi nhi marta… Purab aur Paschim
Hum log laute na laute, ye baxe laute na laute, lekin humari kahaniya zaroor lautengi…..
Abhi Tak India Chup Tha. Ab Hum Log Bolega Aur Duniya Sunega…..
Hum duniya ki nazaron mein girenge ya khare utrenge, ye pata nahi, lekin itna yakin hai, ki hum khud apne ap se nazare milake ye keh payenge, ki humne joh socha woh desh ke liye tha, humne joh kiya wo desh ke liye hai, aur humne joh paya woh desh ka hoga…. Parmanu
Watan ke aage kuch nahi, khud bhi nahi…. Raazi
Hindustan ki dharti par yeh tiranga issi tarah shaan se lehrata rahega, jab tak Bharat ma ki rakhsha ye sher sipahi karta rahega….
We have shared a long list of Patriotic Dialogs for Independence Day Whatsapp status and Patriotic Quotes for your status, You can share more desh bhakti dialogs from Hindi movies, in the comment sections.