Mughal-e-Azam is an Indian Epic Blockbuster film, starring Dilip Kumar , Madhubala and Prithviraj Kapoor in lead roles. It is based on the love affair of Salim and Anarkali. K. Asif Director of Mughal-e-Azam recruited 4 dialogue writers for the film.
All the Dialogues in Mughal E Azam are poetic and it looks they had used the poetry as a language, each and every phrase and dialogue of Mughal-e-Azam is poetic.
Dialogues of Dilip Kumar
Taqdeerein badal jaati hai, zamana badal jaata hai, mulkon ki tarikh badal jaati hai, Shahenshah badal jaate hai …
magar is badalti hui duniya mein mohabbat jis insaan ka daaman thaam leti hai … woh insaan nahi badalta…….
Mohabbat karne waalo ka bas itna hi hai afsana …
tadapna chupke chupke, aah bharna, ghutke marr jana
Main tumhari aankhon mein apni mohabbat ka ikraar dekhna chahta hoon……
Mohabbat joh darti ho woh mohabbat nahin …
ayyashi hai, gunaah hai…
Haan mai aap ki aulad hun. Lekin, mujh par zulm dhaate hue aap ko yeh sochna chahiye ki mai aapke jigar ka tukda hun, koi ghaiz ya ghulam nahi.
Duniya mein dilwale ka saath dena …
daulat waale ka nahi
Mohabbat humne maana zindagi barbad kar deti hai …
yeh kya kam hai ki marr jaane pe duniya yaad karti hai…..
Kapoor : Hamara Hindustan koi tumhara dil nahi …
ki laundi jiski Malika bane….
Dilip Kumar : Mera dil bhi apka koi Hindustan nahi …
jispar aap hukumat kare….
Also Read : Epic Bollywood Dialogue Memes
Dialogues of Madhubala
Meri aankhon se mere khwab na cheeniye Shehzaade main marr jaoongi….
Kaaton ko murjhane ka khauf nahin hota…
Phool toh murjha jaate hain …
lekin kaante daaman thaam lete hain….
Shahenshah ki in behisaab bakhshishon ke badle,
Kaneez Jalaluddin Muhammad Akbar ko apna khoon maaf karti hai…
Dialogues of Prithviraj Kapoor
Bakhuda, hum mohabbat ke dushman nahi, apne usoolon ke gulam hai.
Ek Gulam ki bebasi par gaur karogi to shayad tum hume maaf kar sako.
Salim tujhe marne nahi dega …
aur hum Anarkali tujhe jeene nahi denge…
Other Dialogues
Mera jism zaroor zakhmi hai …
lekin meri himmat zakhmi nahi
Taj un saron par nahin rehta jinke kareeb khauf aajaye….
Rajput jaan harta hai … vachan nahi harta…
Tahkhane ke bhaari darwaaze talwaaro se nahi taqdeero se khula karte hai…
You can share Your favourite dialogue in comment section or you can add some more…