Irrfan Khan is one of the most Talented actors in Bollywood. He is getting recognition in Hollywood too, He is famous for his intense acting and dialogue delivery. We are sharing some great Dialogues of Irrfan Khan.
Dialogues of Irrfan Khan
Paan Singh Tomar
Beehad me bhaghi hote hai, Dacait milte hai parliament me..
Desh ke liye daude to kisi ne na pucha, ab baaghi ban gaye to sab ehi naam jap
rahe paan singh paan singh..
Ye Subedar Paan singh tomar ka gang hai..
Jung me to jaane na diya humko, jaan jokhim me na dalne di, ab ijjat ko jokhim
me dalke khel ko jung ka maidaan bana denge..
Kaho haa!
Gaali ke jawab me goli chal jati hai coach sir ji, humari maa humko bohot pyari hai..
Gunday
Chaal hum chalenge, shye bhi hum denge, aur maat bhi hum denge…
Aksar har desh badi samasyayen suljhane ke chakkar mein yeh bhool jaata hai , ki uski kitni badi keemat uske apne logon ko chukani padti hai…..
Chot khaya hua dost dushman se zyada khatarnak hota hai……
Kismat ki ek khaas baat hoti hai ki woh palat-ti hai….
Ahankar ki aag tezaab se zyada khatarnak hoti hai ek baar jala de toh nishaan seedha aatma pe jake lagta hai….
Pistol ki goli aur laundiya ki boli jab chalti hai toh jaan dono mein hi khatre mein hoti hai….
Lakeerein bahut ajeeb hoti hai, khaal pe khich jaye toh khoon nikaal deti hai, aur zameen pe khich jaye toh sarhadein bana deti hai….
Saheb Biwi aur Gangster Returns
God made man and tailor made gentleman…
Hamari toh gaali par bhi taali parti hai….
Yeh Saali Zindagi
Log sunenge to kya kahenge , chutiya aashiqui ke chakkar mein mar gaya, aur Laundiya bhi nahi mili…..
Ishq ka ek problem hai, agar ek ki lagi toh doosre ki bhi lagni hai kabhi na kabhi….
The Killer
Dil-e-nadaan tujhe hua kya hai, aakhir is dard ki dawa kya hai?
Do cheezein mujhe pasand nahi hai, garmi ka mahina aur AC mein pasina……
Pistol ki thandi nali jab kanpatti pe lagti hai na, tab zindagi aur maut ka fark samajh mein aata hai….
Badhe sheharo ki hawa aur chote sheharo ka pani, bada khatarnak hota hai…
D-Day
Sirf insaan galat nahi hote,waqt bhi galat ho sakta hai….
Galatiya bhi rishto ki tarah hoti hai, karni nahi padti , ho jaati hai…
Chocolate
Paisa agar bhagwan nahi hota toh bhagwan se kam bhi nahi hota….
Shaitan ki sabsi badi chaal yeh hai ki woh saamne nahi aata….
Pyar andha hota hai , aur pyar mein padhne waale, usse badhe andhe hote hai….
Haider
Aap Jism hai to main Rooh,
Aap faani main lafaani..
Talashi ki itni adat ho gayi hai logo ko ki, jab tak koi tatol na le apne ghar
me bhi nahi ghuste..
Darya bhi main, darakht bhi main … Jhelum bhi main, chinar bhi main … dair bhi hoon, haram bhi hoon …
Shai bhi hoon, Sunni bhi hoon, main hoon pandit main tha, main hoon aur main hi rahoonga…..
Main Rooh RoohDar…
Qaid Khano me jab sari cheekhein aur aahe galo me dafn ho jati thi, Tab ek awaz
bilakhte hue sannate se sur mila ke raat ke zakhmo par marham lagaya karti thi…
Bulb Suraj ke jaisa dehekta tha kothri me andhere ko ankhen taras jati thi…..
Gunaah
Kaam khatam hone se pehle jashn nahi manate, Nazar lag jati hai..
Log Ikke se jeet te hai, hum tujhe raani se jeet ke dikhayenge..
Ab ye case ayega mere under aur main karunga iska encounter..
Life in a Metro
Kispe gussa ha, aadmiyon pe gussa ha, logo pe gussa ha, kismat pe gussa ha, bhagwan pe gussa hai..
Rishtey kisi guarantee card ke saath toh aate nahi hai….
Yeh shehar hum mein jitna deta ha, badle mein kahin zyada hum se le leta hai….
Abhi servicing ho gayi tumhari….
Haasil
tumko yaad rakhenge guru hum…
Aur jaan se mar dena beta,hum reh gaye na,marne me der nahi lagayenge,bhagwan kasam….
Kaisa Khandaan hai aap logo ka, apne ghar ke damaad ke sath aisa sulook?
Ladki badnaam thi,Lekin biradari ke liye humne kaha hum nibhayenge, lekin apki
taraf se ho gayi gaddari,ladki furr ho gayi..
Jada josh na dikhayiye, warna mandap me aap ko baitha ke ghuma denge, aur kasam
se humko koi rok nahi payega..
Tumko bohot rona aa raha tha kya ? ..Mare lappad tumhari buddhi khul jaye…abe
tum log gurilla ho..guerilla wari padhe ho ki nahi …wo sale gunde hai , hum
krantikari hai….guerilla war kiya jayega.dekh lenge jo hota hai., heroine kon hai be.
Jazbaa
Inspector Yohan, tumhara yeh Amitabh Bachchan look aur tevar, yahan kaam nahi karega.
Irrfan Khan: Toh aap bataiye, main kya Singham ban ke ghumu?
Sharafat ki duniya ka qissa hi khatam, ab jaisi duniya vaise hum…
Teri amma ne jiske baare mein nahi bataya, main tera woh baap hun…
Aasoon bahane ka waqt gaya, jung toh ab shuru hogi…
Talvar
Tere me thodi si bhi akkal hoti to ye case wahi khatam ho gaya hota..
crime scene ko tumne machhi bazaar bana diya..
Your Turn !
You can add more Irrfan Khan’s Dialogues in Comment sections and you can mention your favorite one!