All Time Hit Dialogues of Dilip Kumar (Tragedy King)

Dilip Kumar is known as Tragedy King. You can call him the first method actor of India, He was so perfect in his characters sometimes doctor used to advise him to stay away from acting, because he gets into a character and starts living like that, Nobody can forget his dedicated acting in Mughal e Azam, Devdas,  Naya Daur and Saudagar.

Today we are sharing some great Dialogues of Dilip Kumar.

Best Dilip Kumar’s Dialogues

Naya Daur

Naya Daur Dialogues

Jab amir ka dil kharab hota hai na
toh gareeb ka dimaag kharab hota hai…

Jiske dil me daga aa jaati hai na
uski ankho me daya kabhi nahi aati….

Tumhara dharam to Paisa hai kundan babu paisa, magar hum daya ke bhikhari nahi hain…

Kranti

Jab zindagi daudti hai,
toh ragon mein behta hua khoon bhi daudta hai…

Kulhadi mein lakdi ka dasta na hota,
toh lakdi ke katne ka rasta na hota…

Mere hauslon ke imaan ka chehra itna bhayanak nikla,
itna dusht nikla, aisa lagta hai, jaise mere apne jism ne meri atma se vishvastghat kiya..

Ek kranti marega, to hazaar kranti paida honge..

Tumhare aankhon ki chamak, mere dil ka daman khenchti hai..

Karma

Insaan jab andha ho jata hai,
toh usko raat aur din ke farak me tameez nahi rehti…

Sher ko apne bachon ki hifazat ke liye shikari kutto ki zaroorat nahi hai

Jab jab is desh me tum jaisa rakshash ayega,
mitake rakh dega usse is desh ka ye tiranga….

Mulk ka har sipahi jaanta hai ki, uske jism par woh khaki vardi,
joh uska maan hai woh vardi uska kafan bhi ban sakti hai….

Tumhari zindagi mere hath me hai,
aur tumhari maut bhi…

Saudagar

Haq hamesha sar jhuka ke nahi,
sar uthake maanga jaata hai…

purane zakhmo ko agar tum kuredoge to khoon ke phuwaare niklenge rajeshwar..

Bandook teri, goli bhi teri, din tareekh bhi tera, subah bole subhah, shaam bole sham, awaz de tu, bir singh tujhe samne khada milega…

Taqdeer ke haadson se itihas nahi bante rajeshwar..

ban to gaya bada aadmi, bada saudagar, par dil uska itna sa hai…

Devdas

Kaun kambakht bardasht karne ko pita hai

Hosh se kehdo, kabhi hosh na aane paaye…

Agar mujhe maloom hota ki mere yaha aane se main sb kuch kho duunga, is tarah lut jaunga to main yahan kabhi nahi aata…

Kaun kambakht hai joh bardaasht karne ke liye peeta hai..
main toh peeta hoon ki bas saans le sakun..

Tum meri kaun hoti ho chandramukhi jo meri itni seva kar rahi ho..

Dialogues of Dilip Kumar

Dekho na main parvati ko kitna chahta hun, aur wo bhi mujhe kitna chahti thi, lekin samaaj ne nahi chaha…

Tum dono me kitna farq hai, par fir bhi kitni ek si ho, Ek badi khuddar aur chanchal, dusri shant aur ghambhir, Wo kuch bhi nahi seh sakti, tum sab kuch seh guzarti ho, Uski kitni izzat hai, aur tum kitni badnam ho, usse sabhi pyaar krte hain, aur tumse nafrat, Lekin main tumse nafrat nahi karta chandramukhi, kar hi nahi sakta…

Chunni Babu : Kya khabar hai?
Devdas : Khabar bas yahi hai, ki zinda hain..

Mujhe Roko mat dharamdas, Mujhe chalne do…

Mera sabkoi hai, main hi kisi ka nahi dharamdas…

Kya kahun chunni babu, mujhe to kuch bhi achha nahi lagta, ab to yahi achha lagta hai ki kuch bhi achha na lage..

Leader

Jeet inki nahi hogi, jeet janta ki hogi,
jeet is jhoot ki nahi hogi, jeet sachai ki hogi ,
jeet in khuniyon ki nahi hogi, jeet hum begunaho ke khun ki hogi….

charo taraf dekhte hai to  har baat mein khot aur milavat,
nal ka pani pejiye to us mein dawai ki milavat hai, sans lijiye to hawa mein milon ke dhuan, ki milavat hai, agar khana khaiye to roti ke aate mein mitti ki milavat hai,
charon taraf har baat mein jhoot hai,
dua mein, salaam mein, pyar mein, nafrat mein, gusse me,
sab me jhoot hai…

Dobti hui kashti me bhagne wale kabhi sahil ka muh tak nahi dekhte…

Dialogues of Mughal E Azam

Mohabbat jo darti ho wo mohabbat nahi,
ayashi hai, gunah hai….

Wo aapka dudh khoon bankar meri rago me jee raha hai, kahiye to wo sab aapke kadmo me baha doon, magar mujhse uska sood wasool na karein..

Mohabbat humne mana zindagi barbad kar deti hai,
yeh kya kam hai ki mar jaane pe duniya yad karti hai….

Duniya me dilwale ka saath dena,
daulat waale ka nahi…

Main tumhari aankhon me apni mohabbat ka ikrar dekhna chahta hu…

Mera dil bhi apka koi Hindustan nahi Mughal e azam

Mera dil bhi apka koi Hindustan nahi,
jispar aap hukumat kare…

Mohabbat karne waalo ka bas itna hi hai afsana,
tadapna chupke chupke, aah bharna, ghutke marr jana…

Taqdeerein badal jaati hai, zamana badal jata hai, mulkon ki tarikh badal jaati hai, Shahenshah badal jaate hai,  magar is badalti hui duniya mein mohabbat jis insan ka daman tham leti hai, woh insan nahi badalta….

Kya Shehenshah ki taqat ne rajpoot ke vachan ko hara diya?

Others

Yeh charon aur phaili hui dharti par rehne waale logo ki kewal ek hi jaat hai, manushya jaat…

Is sansar me  koi manav poorna buddhiman nahi hota
Brahma srishti rachate hai, Vishnu uski raksha karte hai aur Shiv usko nashth karte hai…

Gyan aur agyan mein antar hi kya hai
kewal ek akshar ka, lekin arth me satyug aur kalyug ka sa bedh hai

Bhagwan ne kitni achhi tarah tumko sajakar is duniya me behja hai,
ankhen jaise jheel me khile hue do kamal, dekhti hai toh aakash mein indradhanush khil uthte hai, sharamati hai toh kaliyon ka sar jhuk jata hai….

Main kisi se nahi darta, main zindagi se nahi darta, maut se nahi darta, andheron se nahi darta, darta hoon toh sirf khoobsurati se…

Mai marke bhi marunga nahi, tumhare andar zinda rahunga…

Your Turn!

These are some famous Dialogues of Dilip Kumar if You remember any other famous Dialogues of the Tragedy King, then please do comment below with the Film name. 🙂