Ajay Devgan Dialogues in Singham
Bahut kursi kursi karta hai na tu …
is baar tujhe aisi jagah marenge …
ki jitni baar kursi pe behtega hum mein yaad karega
Joh kanoon todega, main uski hadiyaan todonga
Meri zarooratein kam hai …
is liye mere zameer mein dum hai
Galat kya hai yeh jaanane se koi farak nahin parta …
galat ko sahi karne se farak parta hai
Police waalon ki na dosti achchi na dushmani …
tune toh dono hi kar li
Jisme hai dum! to fakht Bajirao Singham
Kuttoon ka jhund kitna bhi bada ho …
uske liye ek sher hi kaafi hota hai
Ajay Devgan Dialogues in Himmatwala
Badkismati toh hamari behen, bahu, betiyon ki hai …
is desh mein janam lene se pehle kok mein jaan ka khatra …
aur janam lene ke baad izzat ka … magar aaj ke baad aaisa nahi hone waala …
kyun ki jab jab kisi aurat par zulm hoga …tab tab har insaan banega himmatwaala
Gareeb ke paas sirf do hi cheezein hoti hai …sar par izzat ki pagdi aur pairon mein mehnat ki chappal …
aur jab sar ki pagdi uchalti hai toh pairon ki chappal haath mein aa jaati hai
Jaise ek roti ki ahmiyat ek bhookha jaanta hai …
zindagi ki ahmiyat ek marne waala jaanta hai …
vaise hi maa ki ahmiyat sirf ek anaath hi jaan sakta hai
Izzat aur jaan do aaisi cheezein hai …
joh ek baar chali gayi toh vapas nahi aati
Sare kagazat mujhe chahiye do din mein …
kyun ki teesra tum logon ka chautha hoga
Kasam hai mujhe apni maa aur apni behen ki …
teri zindagi ki maa behen kar doonga
Maa Sherawali ka haath hai mujhpar …
chahe saikadon dushman aa jaye zameen par …
ek ek ko zinda ghaad dega yeh himmatwala … yahinpar
Na main Dilli waala, na main CBI waala …
ek behen ka bhai, ek maa ka beta … himmatwala!
Ajay Devgan Dialogues in Company
Har insaan ke andhar ek rakshash hota hai …
bas kuch log usse bahar nikaalne se darte nahi
Joh hamare usool todhta hai …
hum usse todh dete hain
Pachees baar keh chuka hoon ki …
dhande ki baat phone pe nahi
Khaas aadmiyo ko yeh bhi yaad dilana chahiye …
ke woh kabhi bhi aam ho sakte hai
Yahan koi bhi jab chahe bharti ho sakta hai …
magar istifa nahin de sakta
Duniya mein har kaam fayde ke liye kiya jata hai
Jiski nazar game se hati …
samjho woh game se hat gaya
Hamare dhande mein ek galati ko maaf karna …
usse bhi badi galati hai
Ajay Devgan Dialogues in The Legend of Bhagat Singh
Shareer qaid kiya jaa sakta hai … vichaar nahi
Khoon bahana koi badi baat nahi hai …
chahe woh apna ho yah samne waale ka …
badi baat toh yeh hai ki jism se tapka hua ek boond khoon,
aane waali nasal ke saare ke saare khoon mein ubaala la sakta hai yah nahi
Dushman aadmi ko maar sakta hai …uske adharshon ko nahi
Nah toh mujhe maut ka khauf hai … aur nah hi rab ka yakeen
Aap namak ka haq ada karo … main mitti ka haq ada karta hoon
Ajay Devgan Dialogues in Kaal
Joh dikhta hai woh hota nahi …
aur joh nahi dikhta usse hum maante nahi
Jungle mein jaanwar ka shikaar ho toh insaan ko pata bhi nahi chalta …
lekin insaan ka ho toh jaanwaro ko bhi khabar ho jaati hai
Jis raaste par sher ke panje ho …
us par koi chalne ki himmat nahi karta
Kuch log shikaar karne aate hai … khud shikaar ban jaate hai
Ajay Devgan Dialogues in Ishq
Ab toh is zindagi mein wohi aayegi …
yah phir is aashiq ki jaan jayegi
Yeh phool nahi mere dil ka lahu hai …
aur Daddy yeh dushman nahi, tumhari hone waali bahu hai
Toofan mein bahaa hai na yeh sholon mein jala hai …
ghayal hua teeron se na khanjar se kata hai …
kehte hai jisse ishq qayamat hai, bala hai …
takraya joh bhi isse woh duniya se mitta hai
Ajay Devgan Dialogues in Bol bachchan
Na pine hai na apple … phir bhi pineapple
Prithviraj Raghuvanshi satya ko Ram Ram kare hai …
par jhoote ka Ram naam satya kare hai
When elder get cosy … younger don’t put nosy
Tujhe paakar meri chaati aur bhi chowdi ho gayi hai …
my chest has become blouse
Brother-in-law will die Tommy’s death
Rishto ke fayde nahi … rishto ke mainne dekhte hai hum
Lagta hai tumhare kaan bajh rahe hai …
your eardrums are playing drums
Aainda aaisi harkat ki …
toh deshwasi se narakwasi bana denge tane
Hum chatti ka dhood yaad dila denge …
I will make him remember milk number 6
Early to double bed and early to wake up fast …
makes a male mard hatta katta and oversmart
Eat lots and lots of akharot, tighten your langot …
and fight with bear hands, no knives no forks
Shikaar ki khoj mein …sher bedh bakriyo ki fauj hi dhoondta hai