Gadar 2 is gaining success at the box office, first-day box office collection of Gadar 2 shows a clear win and it became the 2nd best first-day collection film after Pathaan.
Although The film has limited one-liners and powerful dialogue, we still have some of the great dialog from Gadar 2, we have already shared the dialogue from Gadar Ek Prem Katha in the past.
Best Dialogues of Gadar 2
We have curated the list of best Gadar 2 Dialog lyrics, these Dialog Quotes are used by actors, and their character names are written with the dialogs, we have created a list of Sunny Deol, Utkarsh Sharma, Manish Wadhwa, and Amisha Patel dialogs in this list from the film Gadar 2 Katha Continues.
Apke sasural se kuch aaya hai
waise to gola barood hi aate hain, iss bar kuch tohfe aaye hain… Rawat
Waqt ke sath sath humare liye apki care badhti ja rahi hai.. Sakeena
Sahab ji tussi tara singh nu pehchande nahi, dushmana nu pucho tara singh kon hai… Tara Singh
Kitna intezar karwaya tune, ab tera intezar puri dunia karegi… Hamid
Iss bar jung hui na to pura phod denge, hindustan ki zameen ko laal aur jhande ko hara kar denge.. Others
Agar aisi jung hui na janab, toh ubaal humari rago ka bhi dekhna, Dushman ko khun me dubo dubo kar marenge… Jittey
ISI kutte se bhi tez hai sunghne mein.. Gullu
Apni maa ki ankhon me jab ansu dekhta hoon na, to jee karta hai sansar ko aag laga du, Sare darr bhag jate hain…Jittey
Main tara singh da puttar hoon, main kisi bhi halat me ek bete hone ka farz nibha lunga…Jittey
Miya agar hasrate aukat se zyada badh jaye na, to tabahi ke liye dushmano ki zarurat nahi padti… Tara Singh
Hamid Iqbal Jiska baap zinda ho uss bete ko kya fikar…
Namaz padhne ja rahe hai na aap, to allah se apne liye dua maang lena, ki mera babbe yahan na aaye, kyuki agar wo yahan aa gaya na, aur usne meri ye halat dekh li, to tere itne chithde karega, itne chithde karega itne chithde karega ki pura pakistan nahi gin payega…. Jittey
Ek din ghazwa e hind hoga, ek ek hindu musalmaan banega, aur ye hindu humari betiyon ko bargalayenge, unki asmat lutenge, unhe hindni banayenge…? Hamid Iqbal
Tune jitni quran padhi hai na, usse jada meri maa ne mujhe sunai hai samjhayi hai… Jittey
Tara Singh bade mauke par aaya hai tu, baap ke samne bete ka Qatal.. Hamid Iqbal
Bohot zulm kar liye tumne hindustan me musalman bhaiyon par, ab hum unhe azadi dilayenge..
Hamid Iqbal
Kisse azadi dilaoge tum, hindustan musalmano ka, chritiano ka hai, sikho ka hinduo ka hai, hindustanio ka hai,aur in sabne milkar azadi ki ladai ladi hai, qurbaniya di hai… Tara Singh
Agar yahan ke logo ko dobara mauka mile na hindustan basne ka , to adhe se zyada pakistan khali ho jayega, tumhara ye siyasi pan tumhe bhikhari bana dega, katora lekar ghumoge, bhikh bhi nahi milegi… Tara Singh
Ud gaye na chithde, abhi to pappe ne hath bhi nahi lagaya… Jittey
damad hai wo Pakistan ka, usse nariyal do, teeka lagao warna iss bar wo dahej me lahore le jayega… others
Janab sadar, maine bohot hummilation saha hai partition ke dauran, har bar mazboot hokar nikla hoon, is bar b niklunga… Hamid Iqbal
Achha ek kaam karna, jab tu hindustan wapas jayega, to apne jaise kisi mazloom, pakistani ki madad karna, dekhna kitna sukoon milega… others
Main nahi chahta koi anhoni ho meri mauski ke sath..
Mera nanihal hai na, pakistan, aur yahan ke alawa mujhe maasi maa kahan mil sakti hai… Jittey
Par mere bolne se kya hoga, agar maine murdabad ka nara bhi laga dia na, to mere mulk ki shaan kam nahi hogi, humara tiranga asmaan me lehra raha hai lehrata rahega, agar har hindustani ne zindabad ka nara lagaya na to uski awaz ki gunj tum sabko faad degi…. Hindustan Zindabad Tara Singh
Agar apne Rasool ke raste par chalta toh Gazwa e hind nhi Jhazba e hindi ki baat karta, aur dunia ek jannat hoti… Tara Singh
These Quotes and Dialog Lyrics from Gadar 2 are picked by our team while watching the film, you can comment on more Gadar 2 Dialogues in the comment section.