Amitabh Bachchan the Shehanshah of Bollywood is quite famous for his dialogue delivery, his powerful voice leaves a mark on the audience’s heart.
Amitabh Bachchan is actively working in the film industry for 5 decades and right now, He is one of the Most Famous Bollywood superstars.
He is in his 70’s but still working like a young actor, and his films performances are getting brilliant day by day.
Few Days before we shared the Best Dialogues from Hindi Movies and Amitabh Bachchan dialogues are very famous so we prepared a list of best Dialogues of Amitabh Bachchan AKA Big B.
List of Best Dialogues of Amitabh Bachchan
These are some Great Dialogues from Amitabh Bachchan’s Movies.
Sholay
Angrezon ke zamane ke jailor aur itni ghabrahat..
Department
Meri history janta nahi hai tu, mere sharer me haddi kam tanke zyada hai
Jab tak ye bajti rahegi, main sabki bajata rahunga…
Chupke Chukpe
Jis tarah gobhi ka phool, phool hokar phool nahi hota, waise hi gainde ka phool bhi phool hokar phool nahi hota…
Trishul
Aaj aap ke paas aap ki saari daulat sahi, sab kuch sahi, lekin maine aap se jyada garib aaj tak nahin dekha. Good bye, Mr R K Gupta
You are right, Mr R K Gupta, yeh contract mujhi ko milegi. Aur haan, mere banaye hue colony mein agar aapko ghar chahiye, to taqalluf mat kijiyega, makan aap ko mil jayega..
Also Read: All Superhit Dialogues of Trishul
Sarkar
Mujhe jo sahi lagta hai main karta hoon, fir chahe wo bhagwan ke khilaaf ho, kanon ke khilaf ho ya pure system ke khilaf hi kyu na ho!
Mohabbatein
Parampara, Pratishtha, Anushasan.
Ye is gurukul ke teen stambh hai.
Ye wo aadarsh hain jinse hum aapka aane waala kal banaate hain
Mr Natwarlal
Arre yeh jeena bhi koi jeena hai, Lallu?
Aakhree Raasta
Wahan se tumhe ye che dikh raha hoga.
Lekin yahan se mujhe yeh nau dikhta hai…
Hum
Is duniya mein do tarah ka keeda hota hai.
Ek woh jo kachre se uthta hai.
Aur doosra woh jo paap ki gandegi se uthta hai….
Kaala Patthar
Yeh koyle ki khaan ek azgar hai seth sahab,
jo roz, anginath logon ko nigalkar, usei peeskar,
jism se khoon ka ek-ek katra choos kar, ek laash ke roop mein ugal deta hai
Namak Haraam
Hai kisi maa ke laal me himmat,
jo mere saamne aaye?
Muqaddar Ka Sikander
Aur waise hi, mai is ko yaha nahi marunga, warna log kahenge Sikandar ne apne ilake me use mara….
Kaalia
Aap ne jail ki deewaron aur zanjeeron ka loha dekha hai,
jailer sahab, Kaalia ki himmat ka faulad nahi dekha….
Coolie
Bachpan se hai sar par Allah ka hath,
aur Allah Rakha hai mere sath, bazu par hai saat sau chhiyaasi ka billa,
bees number ka beedi peeta hu, kam karta hu coolie ka aur naam hai Iqbal….
Shakti
Narang saab, yeh kam koi bhi insan akele kar sakta tha, basharte ki use bhi meri hi tarah ye pata hona chahiye ke woh is dunia me akela aya hai aur akela hi jayega, isliye agar use kuch karna hai toh woh bhi akele hi karna hoga….
Agneepath
Pagar badao… pandrah sau rupiye me ghar nahin chalta, saala imaan kya chalega?
Also Read: Dialogues of Agneepath
Sholay
Partner, ab bol hi diye ho to dekh lenge…
Amar Akbar Anthony
Ek phool de dona maa, wahan ees ke mafak koi kadak afsar mil gaya to usko hum yeh phool deke apun ka baap bana denga…
Agneepath
Eh Kancha, sala bandook bhi dikhata hai aur peeche bhi hat ta hai?
Pura naam, Vijay Dinanath Chauhan. Baap ka naam, Dinanath Chauhan; Maa ka naam, Suhasini Chauhan, gaon Mandwa; umar chhattis saal..
Trishul
Jisne pachchees saal se apni maa ko thoda thoda marte dekha ho, use maut se kya darr
Anand
Anand mara nahi, Anand marte nahi….
Sharaabi
Do aansoo is aankh se gire, phir do us aankh se. Phir do is aankh se, do us aankh se. Phir do is aankh se, do us aankh se. Kitne huye?…Nau lakh ke haar ke liye, barah lakh ke aansoo? Daddy hote to kehte: Vijay, tumhe business karna nahi aata?
Don
Don ka intezaar toh baarah mulko ki police kar rahi hai, magar Don ko pakadna mushkil hi nahi..na-mumkin hai.
Deewar
Aaj mere paas Bangla hai, gadi hai, Bank Balance hai, kya hai tumhare pas…
Dawar Sab, Main Aaaj bhi Fenke hue paise nahi uthata…
Peter, tum log mujhe wahan dhund rahe the aur me tumhara yahan intezar kar raha tha…
Uff tumhaare usool, tumhaare adarsh. Kis kaam ke hai tumhaare usool. Tumhaare saare usoolon ko goond kae ek waqt ki roti nahin banaai jaa sakti, Ravi..
Aaj khush to bohot hoge tum hayee.!
Sapne bhi samundar ki lahro ki tarah haqeqat ki chattano se takrakar toot jate hai..
Silsila
Main aur meri tanhaai aksar ye batein karte hai
Tum hoti toh kaisa hota…..
Amar Akbar Anthony
Aisa to Aadmi Life mein Doich time bhagta hai. Olympic ka race ho, yaa Police ka case ho. Tum kisliye bhagta hai bhai?
Sharabi
Govardhan seth, Samundar mein tairne waale- kouon aur taalabon mein dubki nahin lagaya karte hain.
Mohabbatein
Is Imaarat ki neev itni majboot hai ke koi Raaj Aryan Haathon me Violin aur chehre pe Muskaan liye uski ek bhi eeint Hilane ke liye kadam nahi rakh sakta!
Zanjeer
Jab tk baithne ko na Kaha jaye Khade raho Ye Police station hai tumhare baap ka ghar nahi.
Mard
Jo mard hota hai, use dard nahi hota..
Sharaabi
Zindagi ka tambu teen bambuo pe khada hai
Trishul
Sahi baat sahi waqt pe kiya jaye to uska maza hi kuch aur hai, Aur main sahi waqt ka intezaar karta hoon.
Kaalia
Hum jaha pe khade ho jaate hein, line wahi se shuru hoti hai.
Shakti
Samundar mein tairne waale kuaon aur taalabon mein dubki nahin lagaya karte hain.
Bahut koshish ki apne dil se aapki mohabbat nikal doon lekin mein hamesha aapse pyaar karta raha. Chaha ki na karoon lekin aisa kyun, kyun aisa?
Satte Pe Satta
Chain khuli ki main khuli ki chain…
Bbuddah Hoga Tera Baap
Abey Bbuddah Hoga Tera Baap….
Shahenshah
Rishte me to hum tumhare baap hote hain, naam hai Shahenshah
Sharaabi
Muchain ho to Nathulal ji jaisi hon, warna na ho…
Namak Halal
I can talk English, I can walk English, I can laugh English because English is a very phunny language.
Sholay
Kya karun, mera to dil hi kuch aisa hai, Mausi!!!
Sarkar Raj
Apni sharto par chalne wale ko kimmat chukani padati hai, mujhe jo sahi lagta hai wo mai karta hu
Sooryavansham
Suryavansh ek aag hai jisme doston ke liye jitni joyti hai, dushmanon ke liye utni hi juala. Bhon dalo is kambaqt ko.
Sharaabi
Jigar ka dard upar se nahin malum hota hai….
Coolie
Jiske seene mein dil hi nahin, usse dil ka daura kya padega?
Laawaris
Apun wo kutte ki dum hai, jo barah baras nalli ke ander daal ke, nalli tedhi hoti hai par apun seedha nahi hota..
Shakti
Humare desh me kaam dhondhna bhi ek kaam hai..
Sholay
Tumhara Naam Kya hai Basanti……
Pink
No, Means No!
Also Read: Dialogues of Shamitabh
Your Turn!
If you know some more great Dialogues of Amitabh Bachchan, do share in the comment section of this page, We update our article regularly.